Hamne quraan mai ye parha hai

 English Naat Lyrics





hamne quraan mai ye parha hai

pyaare aaka ka rotba bara hai

bage jannat ho ya arshe aazam

har jagah unka zanda garha hai


hai karam mujpe shahe zaman ka

naam lewa hu main panjatan ki

rang lai hai meri wafae

mustfa(saw) mere hajat rava hai

hamne quran mai ye---------


aa rahe hai madina ke dulha

sarpe taje safaat dhra hai

dekhiye hasr me har farista

hath bandhe adab se khara hai

hamne quran mai ye-----------

 

wo muhmmad (saw)  hai noore khuda hai

ye na samazo khud se bara hai

darmiya me ahad or ahmad(saw)

mim ka ek parda para hai

hamne quraan mai ye----------

 

raat mearaaz ki keh rahi hai

panv chume hai taro ne inke

tajdare madina ke aage

aasama ko bhi zukna para hai

hamne quraan mai ye---------------

Hamne quraan mai ye parha hai Hamne quraan mai ye parha hai Reviewed by Ali Raza on August 01, 2021 Rating: 5

No comments:

If You have any doubts, Let us Know.

Powered by Blogger.